Thursday, 8 November 2007
Monday, 22 October 2007
Monday, 8 October 2007

Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon
Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee hoon
Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee hoon
Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtee hoon
Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee hoon
Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtee hoon
Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee hoon
Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahteehoon
Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtee hoon
Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtee hoon

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya

Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
wohi donno jo bhegee reet per
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hansttey,kabhi kuch gungunattey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
ropposh honay walla sooraj dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
kabhi sahil say dehairoon Seepiyaan chunttey thay
Nangay paoo pani may challey attey thay
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khaat
buhut say phool sookay aur tasveeray
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiyey..

Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
wohi donno jo bhegee reet per
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hansttey,kabhi kuch gungunattey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
ropposh honay walla sooraj dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
kabhi sahil say dehairoon Seepiyaan chunttey thay
Nangay paoo pani may challey attey thay
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khaat
buhut say phool sookay aur tasveeray
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiyey..

kabhi hum bheegte hain chahaton ki taiz baarish mein…
kabhi barson nahin milte kisi halki se ranjish mein…
tumhi mein dewtaon ki khu boo nahin thi warna…
kami koi nahin thi mere andaaz-e-parastish mein…
ye pehle soch lo phir aur bhi tanha na hojana…
usey chhoone ki khuwahish mein usey paane ki koshish mein…
buhat se zakham hain dil mein magar aik zakham aisa hai…
jo jal uthta hai raaton mein jo lo deta hai baarish mein…

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir sou bhi nahi sakte
Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte
Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte
Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte

Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
Ke Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
Mere Dukhon ki kitaab hain ye
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain
Pinapti Hain In main Vahshatain see
Azyatain In main Photti hain
Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain
Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
Rahen Aatish hain khuaab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain
Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay!

Aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo….
ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo…
log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN….
zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo…
saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN….
phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo…
haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano….
apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo…
yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe….
aas ke badlo sir pe mere aaya na karo…
aaj ke daur ka paigham yahi hai taalib…
koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo…

Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo
insan apnay aap mein majboor hay bohat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo
is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
thak haar kay wo sogya afsos mat karo
dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
jo hona tha so hogya afsos mat karo
is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
mein jald lot aoon ga afsos mat karo
ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
ik roz wo bhi aiga afsos mat karo
wo tum se aaj door hay kal paas aiga
phir se khuda milaiga afsos mat karo
bekar gee pay bojh liye phir rahay ho tum
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha
tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha
kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he badalta raha
ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah

Rehta tha mere sath jo barsat key badal ki tarah
dhansa raha hai apni yadon main ab mujhe daldal ki tarah
koi to ho jo mera bhi sahara banay
tanha hoon main shaakh pe bethey huay bulbul ki tarah
main bhi beh jaon ga ik roz us ki yadon main
us ki aankh se behtay huay kajal ki tarah
woh koocha jo kabhi mere liye jannat se kam na tha
wohi koocha ab mujhay lagta hai jungal ki tarah
mujhe woh mil jaey shajar is sehra main Majid
chaon ho jis ki peepal ki tarah khushbu ho sandul ki tarah

aye qalam zara dheere chal
badi hi izzat ka mukam hai
teri noak ke neechey
mere mahboob ka naam hai.
meri mayat per kafan na dalo
mujhey adat hai muskurane ki
mere janazey ko na lejao
umeed hai mere mahboob ke aane ki.
yaad jab aapki aati hai to
dil me basi tasveer dekha karte hain
tasveer sey jo baat na baney to
taqdeer pe roya kartey hain.
ashiq banna chahta tha
mashooq ban ke rah gaya
agey chalna chahta tha
peechey hi rah gay
mai samjha ke
wo mera intezar karegi
magar usey koi naya humsafar milgaya.

La-mutnahi tazeer k lamhay gin raha tha main
Jurat-e-izhar ko sansayeen gin raha tha main
Kitni nafrat thi us eak muskarahat main
Apnay say aap hi shin raha tha main
Main kahoon ga oor wo sunti rahay gi
Kasay bay-wafa sapnay bun raha tha main
Bay-tarteeb dharkanoon ki iltaja suni hi nahi
Sar-e-arsh taqdeer key harfay sun raha tha main
Sunoo mujhay muhabat nahi aqeedat hai tum say
Qarnoon say tum hi main magan raha tha main
Jafree, barhay haath ko jhutla deyea to kya
Us-ki aankh ki chubahan raha tha main

Main Diya Hoon Toote Mazaar Ka
Sar Shaam Kiss Ne Jala Diya
Teri Berukhi Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya
Nai Manzalon Par Pohanch Kar Bhi
Yahi Sochti Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The
Kin Raston Ne Bichaar Diya
Yeh To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Maharbaan
Phir Kya Howa Jo Bula Diya
Mera Hum Safar Zara Soch Ley
Tera Ratoon Ka Khalus Honn
Tera Samne Jo Bicha Diya
Rahey Umar Bhar Jisey Dondatey
Who Mila To Usse Ghawa Diya
Mera Harsatu Ke Mazaar Par
Tera Senkaru Se Sawaal Hai
Tujhe Rook Kar Itna Bataye Ge
Yaha Kis ne Kis Ko Bula Diya

Dil ki wehshat tamaam kab hogi,
zindagi teri shaam kab hogi,
kab main us say kahon ga dil ki baat,
mujh say wo hum kalaam kab hogi,
wo jo ik umar hai tujhe hasil,
wo bhala mere naam kab hogi,
zindagi tu mere liye akhir, qabil e ehtraam kab hogi,
kab main aya karon ga yaad tujhe,
neend tujhe pe haraam kab hogi..?

Who dil mein muqaam chahata hai
khanjar hai niyaam chahata hai
fankar pe maherban shahenshah
tareeq mein naam chahata hai
iss waqat jalal main hai suraj
taroo’n say salaam chahata hai
phika hai yahha’nbhi rang-e-ghuncha
who phool bhi kaam chahata hai
ek rauz na hogi subah teri
hur subah ki shaam chahata hai
kantoo’n ke nagar mein abla pa
kyoo’n jaee qyaam chahata hai
kya saada mizaj hai muzaffar
gazloo’n mein doaam chahata hai

Saray Sapnay kahin kho gay
haay hum kia say kiya ho gaay
Saray Sapnay kahin kho gay
haay hum kia say kiya ho gaay
dil say tanhai ka durd jeeta
humsay sara jahan bhi hay rootha
ab to na zoor dil pe chalay
haay hum kia say kiya ho gaay
koi shikwa na koi gila hay
tumsay kab ghum yay humko mila hay
koi shikwa na koi gila hay
tumsay kab ghum yay humko mila hay
haan naseeb apnay hee so gay
haay hum kia say kiya ho gaay
Saray Sapnay kahin kho gay
haay hum kia say kiya ho gaay

Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likhne ko kiya baki hai
Ik dil tha su wo tuth giya
Ab lutne ko kiya baki hai
Ik shaks ko hum ne caha tha
Ik reet pe naqsh banaya tha
In reet ke zarun ko hum ne
Phir apne dil main sajaya tha
Wo reet tu kab ki bikhar gay
Wo naqsh kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai
Hum jin ko apni nazmoon ka
Unwan banaya karte the
Lafzun ka bana kar taj mehal
Kagaz par sajaya karte the
Wo hum ko akela choor gay
Sab rishtoon se mun murr gay
Ab rishte sare sune hain
Wo piyar kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai

MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN
shehar sey door safar kartey hoey
rah chaltey ya kaheeN beth key sastaatey hoey
aatey jaatey hoey, bey wajah kaheiN ruktey hoey
seeRiiyaan chaRtey hoey, zulf ko suljhaatey hoey
ghar mein aaey kissi mehmaaN ki tawaazoh kartey
chaaey deytey hoey, haathoN sey piyaalii girtey
meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN
ghoomtey phirtey hoey, long driving kartey
chooRiiyaan leytey hoey, eid ki shopping kartey
ghar sey jaatey hoey ya shaam ko ghar aatey hoey
beykhiyaalii mein kissi khiyaal mein khho jaatey hoey
duniya daarii sey bohat duur nikal jaatey hoey
meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN
pichhley do chaar jo din guzrey heiN
kia kahooN kitney kaThin guzrey heiN
intezaar itna kiya hai keh saddii ho jaisey
beybasii apney moqadar mein likhhii ho jaisey…

Ker lea hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay
jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay
teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna ossay
cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna ossay
moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay

Her qadam per milli ruswai zamanay bhar ki
Her ruswai main aai saada, her saada main tera naam…….
Dil iqrar ko tarasta raha…tarapta raha
per laboon per na aaiya tera naam….
Qiyamat kay thay woh lamhay jag hasai kay
per gawara na kiya laina tera naam…..
Ankhoon nay bahai ashkoon ki lari
lari kay her moti per tha tera naam……
Apnay huwiay gair aur dee tanhai
per tanhai main bhi goonja tera hi naam…..
Nadaan hain jo bethain mujh per pehray
Kaisa pehra jab rooh per hi likha ho tera naam….
Muqadar main likha hai kiya..kissi ko kiya maloom
hum to baas yaad rakhay hain teran naam…..
keh do yeh un pehray daroon say…..
Ta dum merg manind tasbeh perhna hai tera naam….

May nay tou us say wafaee he ki thi,
Us ki he khatir burai be jee thi,
May nay to us ki ibadat he ki thi,
Apnay khuda say ijazat yeh li thi,
Par us nay nazray kyon churaayeee.
Asay kaisay dil ko gaali daar kiya,
Jetay jeetay mujh ko tu nay maar diya,
Aisay kaisay tu nay mujh pay waar kiya,
Zalalat say mujh ko zaar zaaar kiya.
May nay to dhokay ka tasawur na layaaa,
Dar dar u phir k bus thokar he khayaa,
May nay to chahat ko manzar pay paaya,
Paas na paakay be usay paas paaya,
Phir us nay ki kyon baywafaai.
Kaisay may dil ko muhabbat say bhar du,
Kaisay hakeekat ko wafao ka darr du,
Kaisay umeedou ko chahat kay parr du,
Kaisay may dil say usay maaf kardu,
Jab chuuti hai aas saaari.
Sahara who dayta usi say he maangay,
Phir kyon yeh ansu thamay na thamaakay,
Par ab bhe nazray usi ko kyon jhaankay,
Pata hai milay gay mujhay bus yeh kaantay,
Mayri umeeday ab hai haari.
Asay kaisay dil ko gaali daar kiya,
Jetay jeetay mujh ko tu nay maar diya,
Aisay kaisay tu nay mujh pay waar kiya,
Zalalat say mujh ko zaar zaaar kiya.

Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.
ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.
us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.
keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.
dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi.

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.

Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad


Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa
kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa
kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aa ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa
kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga
Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga
Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga
Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

Kabhe Khamosh Betho Ghay Kabhe Kuch Gungunao Ghay
Main Utna Yad Aoon Ghee Mujhe Jitna Bhulao Ghay
Koi Jub Poch Bethay Gha Khamoshi Ka Sabub Tum Se
Bahut Samjhana Chaho Ghay Maghar Samjha Na Paoo Ghay
Kabhe Dunya Mukammal Ban K Ghomay Ghee Nighahon Main
Kabhe Mery Kamee Dunya Ke Har Ek Shaee Main Paoo Ghay
Kahin Par Bhe Rahain Hum Tum
Tumhain Hum Yad Ain Ghay, Hamain Tum Yad Aoo Ghay

shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
guzra kal tha peeche aaj humare saamne
hum kabhi to kharay thay
jaane kis kinaray
khafa huay tum zindigaani se hum haaray
is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
bheegi baarish main kharay tha
kaali raat ke thay nazaare
khamoshi k mahaul main tanhai ka silsila ajab tha

O Dewanay larkay!
zara thaam lay mera haath
kis ko dhoond raha hai?
mein doon gee na tera saath!
O Dewanay larkay!
mujhay karnay day mehsoos
tujh ko apnay andar
jab tu hoga udaas
mein banoo gee teri aaas!
O Dewanay larkay!
ik khawahish dil kee
jo tujhko hai batanee hee
jab tu marna chahay
mein wajh banoo teray jeenay kee!
Wednesday, 3 October 2007
Saturday, 22 September 2007
Friday, 21 September 2007
Tuesday, 18 September 2007
!ηη()_мαηη! (нєαят ωιηηєя)
aataa hai yaad mujhako guzaraa huaa zamaanaa
vo baaG kii bahaare.n vo sab ka chah-chahaanaa
aazaadiyaa.N kahaa.N vo ab apane gho.Nsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa
lagatii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabanam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
vo baaG kii bahaare.n vo sab ka chah-chahaanaa
aazaadiyaa.N kahaa.N vo ab apane gho.Nsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa
lagatii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabanam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
!ηη()_мαηη! (нєαят ωιηηєя)
bhuulii hu_ii sadaa huu.N mujhe yaad kiijiye
tum se kahii.n milaa huu.N mujhe yaad kiijiye
ma.nzil nahii.n huu.N Khizr nahii.n rahazan nahii.n
ma.nzil kaa ra.ntaa huu.N mujhe yaad kiijiye
merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
mai.n ishq kaa Khudaa huu.N mujhe yaad kiijiye
naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye
gum-sum kha.Dii hai.n dono.n jahaan kii haqiiqate.n
mai.n un se kah rahaa huu.N mujhe yaad kiijiye
"Sagar" kisii ke husn-e-taGaaful shaar kii
bahakii hu_ii adaa huu.N mujhe yaad kiijiye
tum se kahii.n milaa huu.N mujhe yaad kiijiye
ma.nzil nahii.n huu.N Khizr nahii.n rahazan nahii.n
ma.nzil kaa ra.ntaa huu.N mujhe yaad kiijiye
merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
mai.n ishq kaa Khudaa huu.N mujhe yaad kiijiye
naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye
gum-sum kha.Dii hai.n dono.n jahaan kii haqiiqate.n
mai.n un se kah rahaa huu.N mujhe yaad kiijiye
"Sagar" kisii ke husn-e-taGaaful shaar kii
bahakii hu_ii adaa huu.N mujhe yaad kiijiye
Subscribe to:
Posts (Atom)









